Amel Soname Contact


agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo Amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko Amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha. email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


Dua main yaad rakheya ga

amel soname

amel_soname@yahoo.com

ROZGAAR PER BANDISH

Assalam oalaikum,

Agar kisi per dushman us ko pareshaniyon mein mubtila karna chahe to us ka ek tareeqa yeh bhi hai ke us shakhs ki rozgaar mein rukaawat  or bandish paida karwa di jae. Aisa karne ke liye jadugar se madad lete hain log jo victim ke rozgaar per bandish lagaa deta hai. Is bandish ki waje se koi bhi khushhaal gharaana pareshaniyon mein ghir jaata hai. Ghar mein jawaan bĂȘte bina kisi job ke baithe rahte hain ya ghar ki kifaalat karne wala hi berozgaar hojata hai jis se us ke ghar mein choolha jalna mushki ho jata hai aur ma’ashare mein sar utha ker jeena mushkil hojaata hai. Zaahir hai ke jis ko paison ki qillat ka saamna karna padega woh logon ke aage hath phailaane per majbur hojaega aur us ki khuddari ko bhi thes pahunchegi. Is bandish ki waje se ma’ashare mein zillat ka saamna bhi karna padta hai kyunki victim ke sathi sab us se bahut aage nikal jaate hain. Sath mein badnami bhi hoti hai victim ki kafi kyunki qabar ka haal to sirf murda hi jaanta hai. Jo log victim ki pareshani samajhne se qaasir hote hain woh us hi ko ghaer zimmedar ya na-ahal samajhne lagte hain.

Ma’ashi dikkaton ke waje se kisi bhi ghar ke sab afraad ko kai qism ki mushkilaat ka saamna karna pad sakta hai aur in sab pareshaniyon ke piche dushman ki sirf ek chaal hoti hai  aur woh hai rozgaar per bandish lagaane ki.

In sab baaton se yeh to zaahir hai ke aise maahaul mein jahan khair khwah kam aur bad khwah qism ke log zyada milte hain to mohtaat rahna bahut zaruri hogaya hai. Us ka ek tareeqa to yeh hai ke koi insaan aisi nawbat hi na aane de ke us ko itna nuksaan uthaana pade. Yaani ki woh ache haalaat mein bhi Salaah ki paabandi kare, Quran ki tilaawat kare aur haasidon se bachne ki Qurani aur ahadith ki duaon ke wird paabandi se karta rahe. Magar afsos ki baat yeh hai ke aam taur per jab tak koi poori tarah se jadu mein gharq nahin ho jaata tab tak koi haasidon se bachne ki koshish bhi nahin karta.

Bahrahaal, rozgaar per bandish lagne ke baad bhi agar koi fauran roohani ilaj karwaale to bade nuksaanaat se bach sakta hai. Jadu ke is qism ke victims ko rahnumaai aur akhlaaqi himaayat ki bhi zarurat hoti hai kyunki woh afsurdagi ke shikaar ho jaate hain aur us ke alaawa un ki khud etamaadi mein bhi kai aa jaati hai. Aise mein unka yeh samajhna bahut zaruri hota hai ke un ki haalat ki waja un ki na-ahali nahin balki un ke kisi dushman ka karwaaya hua jadu hai.



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com



7 comments:

Anonymous said...

Kaafi sal zyada pareshan hu...Aap mujhe koi Asaan sa amal bataiyye jis se mokil ki haazri ho...Mujhe Maali mushkilat bht hain...aur bhi kayii pareshaniyan hain...agar Aap Apna phone no. denge toh Main Call par bataungi...aur Aap ye bhi bataye k ye itne pareshani kyun hai mujhe koi 1-2 ho toh Insaan Bardasht bhi karle yahan toh ek qatm nai hoti doosri shuru hojati...kaafi saal se sukoon hi nahi koi...

Aur bht Shukriya Aap ka jo fauran Reply kare...!!

shams said...

as salam o elekum,

mujhey rizq ke hawaley se amal batayeun takey jald az jald meri naukri ya job lag jaye.

dusri yeh mowakkil ki niyaz kya hoti hei aur kaisey ki jaati hei

allah hafiz

faizan said...

Assalamu alykum
Sir.
Mai 19 saal ka hu Mujay ek masla hai takreeban 3 mahinay howai hai maslay ko masla yai hai ki kaanu mai sity ki awaz ati hai aur tanguu mai vibration mehsoos hoti hai aur right eye pharakti hai. Dil bohot bhari hota hai aur kabi kabi bohot he tez sy darakta hai.
Is maslay ka kuch tor batao sir bohot he parishan kar rakhaa hai.
Wassalam.

Anonymous said...

Assalam o alaikum

Meri sehat bahaut kharab ho gayi hai.har waqt bukhar rehta hai.saal bhar se ilaj kar rahe hain per koi fayda nahi hai.peth mein gadbadi ho ja rahi hai.koi dawa fayda nahi karti.din ba din or kharab ho raha hai.Kya sahi ho payenge ki nahi.Allah ke waste bataye kya mamlat hai.

zeya said...

Assalamualaikum ..Amil sb.
Mera nam zeya hai Mai kafi waqt se aapki sari blog padhta hu ..Amil sb meri ek madad kar dijye sirf Allah ke Reza ke liye .. Inshallah Allah aapko iska azar akhrat me denge ..or Allah aapki har gunaah maaf kare or Jannat me me ala makam ata farmay ..Allah aapko apna Deedar Naseeb ata farmay ..Aameen.

Anonymous said...

Asalamualaikum bhai,

Dua kartha hoon ki aap khairiyat sey hongey.

Mein bohath pareshaan hoon Ek shayateen bohath sathari Aur gandey waswasey dalri Aur is shayateen ko jadu sey bhej diya gaya hai Aur Mujhepey woh shayateen ko hamesha hazir kardey rahe hai. Aap koi iska hal batheye jisey Yeh shaytheen Aur jadu doonu khattam karsakhu.Dua ki guzarish aapsey. Please is ka hal batheye bhai.

Waiting for your reply

Allah Hafiz

rajni said...

Hello sir maine aapka blog padha achcha laga. Aap ne jaise blog mein likha hai sharir mein jakadan aur dard rehna,gandgi ke sapane aana, mujhe saalbhar se ye takalif honi lagi hai. 14 saal huye hamari shaadi ko bahot struggle karake humne ghar liya hai per ek saal se ghar mein jhagade shuru ho gaye hai, pati bahot sharab pine lage hai. Baat nahi sunate, aur mujhe kandhe aur sar mein dard rehta hai. Raat ko ghar mein ghabarahat mehsoos hoti hai, aankh band karati hu sone ke liye to aisa lagta hai koi saaya saamane se gaya, mein kya karu, sir koi solution bataiye.