Zindagi ka shayad hi aisa koi mor ho jis mei jadugar victim per bandish lagaa ker us ko aziyat na pahuncha sakta ha taka us ko aulad na ho . Taalim, rozgaar, shadi waghaira ki bandish ke alaawa ek aur bandish hai jis se ek shadi shuda jode ki azdawaaji zindagi mein zeher ghola jaa sakta hai aur woh yeh aulad per bandish.
Is qism ki bandish ka maqsad kisi shadi shuda jode ko be- aulad rakhne ka hota hai. Lehaza in maamlon mein ya to aurat ko baanjh kar diya jaata hai jis ki waje se woh haamla nahin ho paati hai ya phir haamla hone ke bawajud us ko bar bar asqat- e- hamal ka shikaar hona padta hai. Kuch maamlon mein bacha paida ho jaata hai lekin woh murda (stillborn) hota hai.
Yeh kisi bhi khandan ke liye pareshaankun baat ho sakti hai ke un ke khandan ka koi chashme chiragh na ho. Is ke alaawa yeh surat-e-haal aur pencheeda bhi ho sakti hai kyunki waaldain aise mein apne bête ki dusri shadi karaane ko koshish karte hain. Yani aulad na hone ke dabaav ke waje se ek hansta khelta ghar tut sakta hai aur ek rishta dum tod sakta hai.
Buzurgon ke mun se aksar suna hoga aap ne ke apni koi bhi zaati cheez laparwahi se nahin phenkni chahiye. Misaal ke taur per: sar se jhade hue baal, kate hue naakhun, haez ke dauraan istemaal kiye gaye kapde/pads waghaira. Is tarah ki ashiaa per jadugar koi shaitani amal kar ke sakht bandish lagaa sakte hain is liye victim ke dushman victim ki in zaati ashiya ki taak mein rahte hain aur mauqa milte hi hathiyaa lete hain. Jism se nikla hua paseena jo ke victim ke istemal shuda kapdon mein maujud hota hai ya haez ke dauran aurat ke jism se nikla hua khoon jo ke sanitary napkins mein laga hua hota hai- victim ko asaani se sakht jadu ka shikaar bana sakte hain. Lehaza is baat ka dhyaan rakhna bahut zaruri hai ke aap ki zaati istemal ki cheezein ghalat hathon mein na padien.
Puraane zamaane mein aurtein apne hamal ko ghaeron ke saamne zaahir nahin hone deti thin. Yani jab tak mumkin hota tha tab tak woh apna hamal ko chhupaati thin. Is riwaayat ki waja lehaaz bhi tha aur ehtiyaat bhi. Jab tak hamal sab logon ke saamne zaahir hua karta tha tab tak hamal theher chuka hota tha aur hamal ko nuqsan pahunchne ke imkaanaat kam ho jaate the. Buzurgon ke bataai hui baton mein hikmat hoti hai chahe woh nai nasal ko kitni bhi daqyaanoosi kyun na lagein. Lehaza un ki bataai hui durust baaton per amal karna insan ke liye mufeed sabit ho sakta hai.
Amel Soname Contact
agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa hamare kohi or dosare kisi be kisam ki help support nahi ha
dua main yaad rakhya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com
4 comments:
Aulad ki bandish ka tor btaen plz
Hello,
mujhpe shayad jadu ka asar hai. Medical me 6 saal se ilaaj ke baad bhi
kuch nahi nikla. Mujhe sar dard ki pareshaani hai. Mai Delhi se hu.
Aap iska ilaaj karte hai toh bataiye.
Thanks.
Salam Kya mard bhi baanjh ho skta hai kaly ilm ki waja sy q k mery husband ki reports nill ati hai or hamy bandish hai plzz btain
Naaf utrne se ulad hota hai ya nahi
Post a Comment